Ek Ajnabi Se Baat Kya Ki Qayamat Ho Gayi Sare Shaher Ko Is Chahat Ki Khabar Ho Gayi Kyun Na Dosh Du Dil-E-Nadan Ko Dosti Ka Irada Tha Aur Mohabbat Ho Gayi.
Usne Mujhse Pucha Kya Had Hai Teri Mohabat Ki Maine Kaha Mohabat Ki Koi Had Nahi Hoti Jo Hadon Mein Reh Jae Woh Mohabat Nahi Hoti.
Na Rahi Tamanna Hame Apno Ki Khatm Hui Zindagi Jab Ghamgeen Sapno Ki Na Ho Khush Itna Aye "Tanveer" Zindagi To Hai Sirf Chand Lamho Ki.
Mere Ansu Ka Har Qatra Teri Muhabbat Ki Nishani Hai Jo Tu Samjhey To Moti Aur Na Samjhay To Pani Hai
Is Dil Ka Kaha Maano Ek Kaam Kar Do, Ek Be-Naam Si Mohabbat Mere Naam Kar Do, Meri Par Faqat Itna Ehsan Kar Do, Kisi Din Subha Ko Milo Aur Shaam Kar Do.
Us Ajnabi Ka Youn Na Intezaar Karo Is Aashiq Dil Ka Na Aitbaar Karo Roz Nikla Karen Kisi Ke Yaad Mein Aanso Itna Kabhi Na Kisi Se Pyaar Karo.
Use Nafrat Karne Se Fursat Na Mili Warna Mera Dard La-Ilaaz Na Tha Humne To Us Sahar Me Bhi Tera Intezar Kiya Jaha Mohabbat Ka Riwaz Na Tha.
Apni Toh Zindgi Hi Ajeeb Kahani H Jis Chiz Ko Chaha Vo Begani H Haste Hain To Sirf Duniya K Liye Varna In Aankhon Me Pani Hi Pani H.
Dil Ka Haal Batana Nahi Aata Kisi Ko Aise Tadpana Nahi Aata Sun Na Chahte Hain Ek Baar Aawaz Aapki Magar Baat Karne Ka Bahana Nahi Aata.
Toot Jate hain Bikhar Jate hain Kaanch Ke Ghar Hain Muqaddar Apne Ajnabi To Sada Pyar Se Milte Hain Bhool Jate Hain To Aksar Apne..