Pyaar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum; Rishto Ke Phoolon Mein Gulab Ho Tum; Jo Log Kehte Hain Ki Pyaar Saccha Nahi Hota; Un Logo Ke Har Sawaal Ka Jawab Ho Tum!
Nigahon Se Wo Is Dil Mein Samaye; Jab Ashk Bahe To Palko Par Aaye; Darr H Kahin Wo Kho Hi Na Jaye; Palko Ko Ab Hum Kaise Jhukaye!
Karni Hai Khuda Se Dua Ki Teri Mohabbat Ke Siva Kuch Na Mile, Zindagi Mein Tu Mile Sirf Tu, Ya Phir Yeh Zindagi Hi Na Mile!
Log Chah Kar Bhi Nahi Padna Chahte Hamari Mohabbat Mein, Kehte Hain Tum Dil Mein Nahi Rooh Mein Sama Jaate Ho!
Sirf Itna Hi Kaha H, Pyaar H Tumse Jazbaton Kee Koi Numaish Nahi Kee Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga H Rishte Kee To Koi Guzarish Nahi Kee!
Sehmi Si Nigahon Mein Khawab Hum Jaga Denge, Sooni Si Rahon Mein Phool Hum Bicha Denge; Hamare Sang Muskura Kar To Dekhiye; Har Gham Aapka Hum Bhula Denge!
Woh Jaate Jaate Keh Gaye Ki Hum Sirf Khwabon Mein Aayenge, Hum Ne Kaha Vaada To Karlo, Hum Zindagi Bhar Ke Liye So Jayenge!
Kuch Sitaron Kee Chamak Nahi Jati Kuch Yaadon Kee Khanak Nahi Jati, Kuch Logon Se Hota Hai Aisa Rishta Ki Door Reh Kar Bhi Unki Mehak Nahi Jati!
Mohabbat Ki Raahon Ka Anzaam Yahi Hai, Gham Ko Apna Lo Bas Paigam Yahi Hai, Is Sahar Mein Mohabbat Dhunde Na Milegi, Haan Bewafaon Ka Toh Elaan Yahi Hai!
Aap Se Milne Ki Chahat Hamesha Rahegi, Aap Ko Bhulkar, Zindagi Na Rahegi, Aapse Humko Mohobbat Tab-Tak Rahegi, Jab Tak Sooraj Mein Roshani Rahegi!